Sunday, June 1, 2014

dil ki awaz..

is dil ne phir kuch kahan aj dil se,
phir se kuch awaz aayi mushkil se,
thoda sambhal thoda ruk gustakhiya dohra mat tu phir se....
maine palat kar kahan -
tu kya jane is mohabbat ka janoon,
tu kya samjhe jo mujhe chadha hain susur,
dubara zinda kia hain mujhe is gustakhi ne meri ehsaaso ko,
tu kya maane pyar ki hadho ko meri..
is par dil thoda hua udas maasom se dil ne phir uthai awaz-
han main jaanta teri mohabbat ka janoon,
haan main nhi smjhta tera chadha hain jo suroor,
na hi maanta hun pyar ki hadho ko teri,
tere ehsaas teri mohabbat tera suroor tera junoon,
tujhmein sama tabi tak jab tak saath tere main hun,
dard to khushi ko tere hansi ko tere aansuo ko sehne wala srf ek hun,
tujhe ishq karna seekhaya zaroor usne,
magar ishq ko karwaya srf tere is dil ne,

is par palat kar maine kahan-
sama gaya hain wo mujhmein ab puri tarah,
kurbaan ho chuki hun main uspar radha ki tarah,

dil bola-
pagli tujhmein samaya hua hun main puri tarah,
lekin teri wajh se bas gaya hain wo mere andar buri tarah,
are ek main hi to hun jo tere pyar ko sambhal ke rakhta hun,
ek main hi to hun jo tujhe pyar ka matlab seekhata rehta hun,
jo bi aynge tere kareeb ana padega pehle unhe mere nazdeek,
main hi hun jo tujhe sambhal kar rakhta hun,
main toot gaya to tut jaygi tu tera saara pyar tera sara junoon,
to sambhal ke rakh is dil ko badi keemat hain meri,
kurbaan kar mujhe beshak kisi aur ko par jo ho mere kaabil,
sambhal sake mujhmein tere base hue jasbaato ko,
tere saath saath jo pyar sake mujhko bhi.. tere is dil ko... :)))